Pages

Friday, January 17, 2014

Surya (Aaditya) Bhagwan ki Aarti

Surya Bhagwan ki Aarti lyrics

 

Om jai surya bhagwan
Jai ho dinkar bhagwan
Jagat key naitra swaroopa
Tum ho triguna swaroopa
Dharata sabahi tab dhyan
Om jai surya bhagwan (x2)

Sarathi arun ahi prabhu tum
Sweta kamal dhari
Tum chaar bhuja dhari
Ashwa hai saat tumhare
Koti kiran pasare
Tum ho deva mahan
Om jai surya bhagwan

Usha kaal mein jab tum
Udaya chal aate
Sab tab darshan pate
Phailate ujiara
Jaagta sab jag saara
Kare sab tab gun gaan
Om jai surya bhagwan

Bhoo char jal char khay char
Sab kay ho praan tumhi
Sab jeevo ke pran tumhi
Ved puran bakhanee
Dharma sabhi tumhe mane
Tum hi sarva saktimaan
Om jai surya bhagwan

Poojan karti dishaye
Pooje sab dikapaal
Tum bhuvano ke pratipaal
Rituyein tumhari dasi
Tum shaswat avinashi
Shubh kari anshumaan
Om jai surya bhagwan

No comments:

Post a Comment